Isse pahle ki yaad too aae ... main teraa shahar chho.d

इससे पहले कि याद तू आए ... मैं तेरा शहर छो.ड्
Work
Year
Language

इससे पहले कि याद तू आए मेरी आँखों में फिर लहू आए
तुझसे रिश्ता मैं तोड़ जाऊँगा मैं तेरा शहर छोड़ जाऊँगा
इससे पहले कि …

मुझको ग़म तेरी जुदाई का रंज है अपनी नज़रों से गिर गया हूँ मैं
इससे पहले कि तू मुझे छोड़े मुझको ठुकराए मेरा दिल तोड़े
अपना दिल मैं ख़ुद तोड़ जाऊँगा
मैं तेरा शहर …

तेरा मुज़रिम मैं तेरा हरजाई साथ ले जाऊँगा ये रुसवाई
दाग़ दामन से ये मिटा दूँगा ख़ुद को इतनी बड़ी सज़ा दूँगा
इससे पहले कि लोग ताने दें तेरे आँसू न मुझको आने दें
ये ताल्लुक मैं तोड़ जाऊँगा
मैं तेरा शहर …

हाँ मेरा इन्तज़ार तो होगा अब भी कुछ ऐतबार तो होगा
तू खुला छोड़ देगी दरवाज़ा पर ग़लत है ये तेरा अन्दाज़ा
इससे पहले कि आह दिल भर दे सब ग़ुनाहों को माफ़ तू कर दे
ये भरम भी मैं तोड़ जाऊँगा
मैं तेरा शहर …

isse pahle ki yād tū āe merī āṇkhoṅ meṅ phir lahū āe
tujhse riśhtā maiṅ toṛ jāūṇgā maiṅ terā śhahar chhoṛ jāūṇgā
isse pahle ki …

mujhko ġham terī judāī kā raṅj hai apnī nazroṅ se gir gayā hūṇ maiṅ
isse pahle ki tū mujhe chhoṛe mujhko ṭhukrāe merā dil toṛe
apnā dil maiṅ khud toṛ jāūṇgā
maiṅ terā śhahar …

terā muzrim maiṅ terā harjāī sāth le jāūṇgā ye rusvāī
dāġh dāman se ye miṭā dūṇgā khud ko itnī baṛī sazā dūṇgā
isse pahle ki log tāne deṅ tere āṇsū na mujhko āne deṅ
ye tālluk maiṅ toṛ jāūṇgā
maiṅ terā śhahar …

hāṇ merā intazār to hogā ab bhī kuchh aitbār to hogā
tū khulā chhoṛ degī darvāzā par ġhalat hai ye terā andāzā
isse pahle ki āh dil bhar de sab ġhunāhoṅ ko māf tū kar de
ye bharam bhī maiṅ toṛ jāūṇgā
maiṅ terā śhahar …