Ishq men jo kuchh na honaa thaa

इश्क़ में जो कुछ न होना था
Work
Year
Language

ग़म की वादी में ख़ुशी का करवां खोने लगा

इश्क़ में जो कुछ न होना था, वही होने लगा
ग़म की वादी में ख़ुशी का करवां खोने लगा

कौन समझेगा मुहब्बत की भला मजबूरियाँ
दो दिलों की चाहतें दुनिया की ना-मंज़ूरियाँ
मुस्कुराने ही से पहले प्यार क्‌यों रोने लगा
इश्क़ में जो कुछ न होना था, वही होने लगा

सामने आँखों के मेरे इश्क़ का अंजाम है
है अगर ये ज़िंदगी तो मौत किस का नाम है
रन्ज-ओ-ग़म जागे, नसीबा प्यार का सोने लगा
इश्क़ में जो कुछ न होना था, वही होने लगा

ġham kī vādī meṅ khuśhī kā karvāṅ khone lagā

iśhq meṅ jo kuchh na honā thā, vahī hone lagā
ġham kī vādī meṅ khuśhī kā karvāṅ khone lagā

kaun samjhegā muhabbat kī bhalā majbūriyāṇ
do diloṅ kī chāhteṅ duniyā kī nā-maṅzūriyāṇ
muskurāne hī se pahle pyār k‌yoṅ rone lagā
iśhq meṅ jo kuchh na honā thā, vahī hone lagā

sāmne āṇkhoṅ ke mere iśhq kā aṅjām hai
hai agar ye ziṅdgī to maut kis kā nām hai
ranj-o-ġham jāge, nasībā pyār kā sone lagā
iśhq meṅ jo kuchh na honā thā, vahī hone lagā