Ishq deevaanaa husn bhee ghaayal donon taraf ik‌

इश्क़ दीवाना हुस्न भी घायल दोनों तरफ़ इक्‌
Work
Year
Language

इश्क़ दीवाना हुस्न भी घायल दोनों तरफ़ इक दर्द-ए-जिगर है
दिल की तड़प का हाल न पूछो जितनी इधर है उतनी उधर है
इश्क़ दीवाना हुस्न भी …

अपने फ़साने दिल के तराने या तुम समझो या हम जानें
तुमको हमारे दिल का पता है हमको तुम्हारे दिल की ख़बर है
इश्क़ दीवाना हुस्न भी …

बिखरी ज़ुल्फ़ें आँचल ढलका लब पे तबस्सुम हल्का-हल्का
प्यार में हम तो खोए हैं लेकिन आज तुम्हें भी होश किधर है
दिल की तड़प का …

चाँद-सितारे शोख़ नज़ारे सब हैं तुम्हारे हुस्न के घायल
हुस्न को रखना अपने बचा के देखो तुम्हीं पर सबकी नज़र है
इश्क़ दीवाना हुस्न भी …

iśhq dīvānā husn bhī ghāyal donoṅ taraf ik dard-e-jigar hai
dil kī taṛap kā hāl na pūchho jitnī idhar hai utnī udhar hai
iśhq dīvānā husn bhī …

apne fasāne dil ke tarāne yā tum samjho yā ham jāneṅ
tumko hamāre dil kā patā hai hamko tumhāre dil kī khabar hai
iśhq dīvānā husn bhī …

bikhrī zulfeṅ āṇchal ḍhalkā lab pe tabassum halkā-halkā
pyār meṅ ham to khoe haiṅ lekin āj tumheṅ bhī hośh kidhar hai
dil kī taṛap kā …

chāṇd-sitāre śhokh nazāre sab haiṅ tumhāre husn ke ghāyal
husn ko rakhnā apne bachā ke dekho tumhīṅ par sabkī nazar hai
iśhq dīvānā husn bhī …