इन्सान हँसे या रोए ... कहानी क़िस्मत की
इन्सान हँसे या रोए जो होना है सो होए
क्या होना है कब होना है लिखने वाला जाने
कहानी कहानी क़िस्मत की
को: कहानी क़िस्मत की
मन ही मन नादान ज़माना समझे के तदबीर बड़ी है
ये न सोचो क़दम-क़दम पर रास्ते में तक़दीर खड़ी है
हार है किसकी जीत है किसकी लिखने वाला जाने
कहानी कहानी क़िस्मत की
को: कहानी क़िस्मत की
कभी अर्श है कभी फ़र्श है दुनिया की रीत पुरानी
कहीं पे सरगम कहीं पे मातम हर इक शै है आनी-जानी
क्यूँ सुख-दुख के मौसम बदले लिखने वाला जाने
कहानी कहानी क़िस्मत की
को: कहानी क़िस्मत की
जीवन के जितने दिन होंगे उसमें इक दिन कम न होगा
जिसने राज़ ये जान लिया है फिर उसको कोई ग़म न होगा
कब तक लगा रहे ये मेला लिखने वाला जाने
कहानी कहानी क़िस्मत की
को: कहानी क़िस्मत की
होते-होते भी अनहोनी बात कोई ऐसी हो जाए
मंज़िल पर राही जब पहुँचे देखे तो मंज़िल खो जाए
अभी हक़ीक़त अभी है सपना लिखने वाला जाने
कहानी कहानी क़िस्मत की
को: कहानी क़िस्मत की
insān hṇse yā roe jo honā hai so hoe
kyā honā hai kab honā hai likhne vālā jāne
kahānī kahānī qismat kī
ko: kahānī qismat kī
man hī man nādān zamānā samjhe ke tadbīr baṛī hai
ye na socho qadam-qadam par rāste meṅ taqdīr khaṛī hai
hār hai kiskī jīt hai kiskī likhne vālā jāne
kahānī kahānī qismat kī
ko: kahānī qismat kī
kabhī arśh hai kabhī farśh hai duniyā kī rīt purānī
kahīṅ pe sargam kahīṅ pe mātam har ik śhai hai ānī-jānī
kyūṇ sukh-dukh ke mausam badle likhne vālā jāne
kahānī kahānī qismat kī
ko: kahānī qismat kī
jīvan ke jitne din hoṅge usmeṅ ik din kam na hogā
jisne rāz ye jān liyā hai phir usko koī ġham na hogā
kab tak lagā rahe ye melā likhne vālā jāne
kahānī kahānī qismat kī
ko: kahānī qismat kī
hote-hote bhī anhonī bāt koī aisī ho jāe
maṅzil par rāhī jab pahuṇche dekhe to maṅzil kho jāe
abhī haqīqat abhī hai sapnā likhne vālā jāne
kahānī kahānī qismat kī
ko: kahānī qismat kī