Insaaf kaa mandir hai ye bhagvaan kaa ghar hai

इन्साफ़ का मन्दिर है ये भगवान का घर है
Work
Year
Language

इन्साफ़ का मन्दिर है ये भगवान का घर है -2
कहना है जो कह दे तुझे किस बात का डर है
इन्साफ़ का मन्दिर है …

है खोट तेरे मन में जो भगवान से है दूर -2
है पाँव तेरे फिर भी तू आने से है मजबूर -2
हिम्मत है तो आजा ये भलाई की डगर है
इन्साफ़ का मन्दिर है …

दुख दे के न दुखियों से जो इन्साफ़ करेगा
भगवान भी उसको न कभी माफ़ करेगा
( ये सोच ले ) -2 हर बात की दाता को ख़बर है -2
इन्साफ़ का मन्दिर है …

मायूस न हो हार के तक़दीर की बाज़ी
प्यारा है वो ग़म जिसमें हो भगवान भी राज़ी
( दुख दर्द मिले ) -2 जिसमें वही प्यार अमर रहे -2
इन्साफ़ का मन्दिर है …

insāf kā mandir hai ye bhagvān kā ghar hai -2
kahnā hai jo kah de tujhe kis bāt kā ḍar hai
insāf kā mandir hai …

hai khoṭ tere man meṅ jo bhagvān se hai dūr -2
hai pāṇv tere phir bhī tū āne se hai majbūr -2
himmat hai to ājā ye bhalāī kī ḍagar hai
insāf kā mandir hai …

dukh de ke na dukhiyoṅ se jo insāf karegā
bhagvān bhī usko na kabhī māf karegā
( ye soch le ) -2 har bāt kī dātā ko khabar hai -2
insāf kā mandir hai …

māyūs na ho hār ke taqdīr kī bāzī
pyārā hai vo ġham jismeṅ ho bhagvān bhī rāzī
( dukh dard mile ) -2 jismeṅ vahī pyār amar rahe -2
insāf kā mandir hai …