Inheen logon ne le leenaa dupattaa meraa

इन्हीं लोगों ने ले लीना दुपट्टा मेरा
Work
Year
Language

इन्हीं लोगों ने ले लीना दुपट्टा मेरा

ये माना हुस्न ख़ुदा होता है
पर ये अन्दाज़ तुम्हें कौन सिखा देता है
शिकम (?) भी मादर से कोई सीख के आता नहीं
चाहने वाला ही कमबख़्त सिखा देता है

मेरी न मानो रंगरेजवा से पूछो
जिसने गुलाबी रंग दीना दुपट्टा मेरा

मोरी न मानो सैयां से पूछो
जिसने ओढ़ के मज़ा लीना दुपट्टा मेरा
इन्हीं लोगों ने …

inhīṅ logoṅ ne le līnā dupaṭṭā merā

ye mānā husn khudā hotā hai
par ye andāz tumheṅ kaun sikhā detā hai
śhikam (?) bhī mādar se koī sīkh ke ātā nahīṅ
chāhne vālā hī kambakht sikhā detā hai

merī na māno raṅgrejvā se pūchho
jisne gulābī raṅg dīnā dupaṭṭā merā

morī na māno saiyāṅ se pūchho
jisne oṛh ke mazā līnā dupaṭṭā merā
inhīṅ logoṅ ne …