Ik larkee bheegee-bhaagee see

इक लड़की भीगी-भागी सी
Year
Language

इक लड़की भीगी-भागी सी
सोती रातों को जागी सी
मिली इक अजनबी से
कोई आगे न पीछे
तुम ही कहो ये कोई बात है

दिल ही दिल में जली जाती है
बिगड़ी बिगड़ी चली आती है
मचली मचली घर से निकली
पगली सी काली रात में
मिली इक अजनबी से
कोई आगे न पीछे
तुम ही कहो ये कोई बात है
इक लड़की …

डगमग डगमग लहकी लहकी
भूली भटकी बहकी बहकी
बलखाती हुई, इठलाती हुई
सावन की सूनी रात में
मिली इक अजनबी से
कोई आगे न पीछे
तुम ही कहो ये कोई बात है
इक लड़की …

तन भीगा है सर गीला है
उस का कोई पेच भी ढीला है
तनती झुकती
चलती रुकती
निकली अंधेरी रात में
मिली इक अजनबी से
कोई आगे न पीछे
तुम ही कहो ये कोई बात है
इक लड़की …

ik laṛkī bhīgī-bhāgī sī
sotī rātoṅ ko jāgī sī
milī ik ajanbī se
koī āge na pīchhe
tum hī kaho ye koī bāt hai

dil hī dil meṅ jalī jātī hai
bigaṛī bigaṛī chalī ātī hai
machlī machlī ghar se niklī
paglī sī kālī rāt meṅ
milī ik ajanbī se
koī āge na pīchhe
tum hī kaho ye koī bāt hai
ik laṛkī …

ḍagamag ḍagamag lahkī lahkī
bhūlī bhaṭkī bahkī bahkī
balkhātī huī, iṭhlātī huī
sāvan kī sūnī rāt meṅ
milī ik ajanbī se
koī āge na pīchhe
tum hī kaho ye koī bāt hai
ik laṛkī …

tan bhīgā hai sar gīlā hai
us kā koī pech bhī ḍhīlā hai
tantī jhuktī
chaltī ruktī
niklī aṅdherī rāt meṅ
milī ik ajanbī se
koī āge na pīchhe
tum hī kaho ye koī bāt hai
ik laṛkī …