Idhar to haath laa pyaare dikhlaaoon din ko bhee taare

इधर तो हाथ ला प्यारे दिखलाऊँ दिन को भी तारे
Work
Year
Language

इधर तो हाथ ला प्यारे दिखाऊँ दिन को भी तारे
लिखा है क्‌या लकीरों में फ़क़ीरों से सुन जा रे

लिखा है तुझको तो किसी से उल्फ़त है
मगर उस ज़ालिम को तुझसे नफ़रत है
वो चाहे औरों को ये तेरी क़िस्मत है
ये ज़ालिम प्यार दिखलाता है क्‌या-क्‌या नज़ारे
इधर तो हाथ ला …

लकीरें कहती हैं ये तेरे हाथों में
कि तेरा मन उलझा है ऐसी बातों में
कि सोना मुश्किल है तुझे अब रातों में
ये सारे भेद खोले हैं लकीरों ने प्यारे
इधर तो हाथ ला …

किया है जो तूने वही पाएगा तू
बुरी होगी बेटा जो छिपाएगा तू
फ़क़ीरों से बच के कहाँ जाएगा तू
तेरी क़िस्मत की चाबी है मेरे हाथों में प्यारे
इधर तो हाथ ला …

idhar to hāth lā pyāre dikhāūṇ din ko bhī tāre
likhā hai k‌yā lakīroṅ meṅ faqīroṅ se sun jā re

likhā hai tujhko to kisī se ulfat hai
magar us zālim ko tujhse nafrat hai
vo chāhe auroṅ ko ye terī qismat hai
ye zālim pyār dikhlātā hai k‌yā-k‌yā nazāre
idhar to hāth lā …

lakīreṅ kahtī haiṅ ye tere hāthoṅ meṅ
ki terā man uljhā hai aisī bātoṅ meṅ
ki sonā muśhkil hai tujhe ab rātoṅ meṅ
ye sāre bhed khole haiṅ lakīroṅ ne pyāre
idhar to hāth lā …

kiyā hai jo tūne vahī pāegā tū
burī hogī beṭā jo chhipāegā tū
faqīroṅ se bach ke kahāṇ jāegā tū
terī qismat kī chābī hai mere hāthoṅ meṅ pyāre
idhar to hāth lā …