Husn vaalon ko na dil do ye mitaa dete hain

हुस्न वालों को न दिल दो ये मिटा देते हैं
Work
Year
Language

हुस्न वालों को न दिल दो ये मिटा देते हैं
ज़िंदगी भर के लिये रोग लगा देते हैं

खूब करते हैं ये बीमार-ए-मुहब्बत का इलाज
दर्द बढ़ता ही रहे ऐसी दवा देते हैं

हाय कुछ इन की मुहब्बत का भरोसा ही नहीं
पहले दिल लेते हैं फिर दिल को भुला देते हैं

दिल लगाये न ज़माने में हसीनों से कोई
लोग कहते हैं कि ये दिल को दगा देते हैं

husn vāloṅ ko na dil do ye miṭā dete haiṅ
ziṅdgī bhar ke liye rog lagā dete haiṅ

khūb karte haiṅ ye bīmār-e-muhabbat kā ilāj
dard baṛhtā hī rahe aisī davā dete haiṅ

hāy kuchh in kī muhabbat kā bharosā hī nahīṅ
pahle dil lete haiṅ phir dil ko bhulā dete haiṅ

dil lagāye na zamāne meṅ hasīnoṅ se koī
log kahte haiṅ ki ye dil ko dagā dete haiṅ