Humne Apna Sab Kuch Khoya

हम ने अपना सब कुछ खोया, प्यार तेरा पाने को
Year
Language

हम ने अपना सब कुछ खोया, प्यार तेरा पाने को
छोड़ दिया क्‌यों प्यार ने तेरे, दर-दर भटकाने को
प्यार तेरा पाने को
हम ने अपना …

वो आँसू जो बह नहीं पाए, वो बातें जो कह नहीं पाए
दिल में छुपाए फ़िरते हैं अब, घुट कर मर जाने को
प्यार तेरा पाने को
हम ने अपना …

उसकी रहे तू जिसकी हो ली, तुझको मुबारक़ प्यार की डोली
बैठ गए हम ग़म की चिता पर, ज़िन्दा जल जाने को
प्यार तेरा पाने को
हम ने अपना …

ham ne apnā sab kuchh khoyā, pyār terā pāne ko
chhoṛ diyā k‌yoṅ pyār ne tere, dar-dar bhaṭkāne ko
pyār terā pāne ko
ham ne apnā …

vo āṇsū jo bah nahīṅ pāe, vo bāteṅ jo kah nahīṅ pāe
dil meṅ chhupāe firte haiṅ ab, ghuṭ kar mar jāne ko
pyār terā pāne ko
ham ne apnā …

uskī rahe tū jiskī ho lī, tujhko mubāraq pyār kī ḍolī
baiṭh gae ham ġham kī chitā par, zindā jal jāne ko
pyār terā pāne ko
ham ne apnā …