Hue un se nainaa chaar ab main k‌yaa karoon

हुए उन से नैना चार अब मैं क्‌या करूँ
Work
Year
Language

मोरे नैना लागे उन से जिया चाहे सो कहे

हुए उन से नैना चार अब मैं क्‌या करूँ मैं क्‌या करूँ
दिल से गया क़रार अब मैं क्‌या करूँ मैं क्‌या करूँ

नया सहारा पाया दिल ने बने वो मन के मीत-2
नयी उमंगें गाती हैं अब-2 नये निराले गीत
छेड़ के मन के तार अब मैं क्‌या करूँ मैं क्‌या करूँ

नैना मन का भेद बताकर आप बने अंजान-2
आशाओं में हलचल है अब आशाओं में हलचल है
अर्मानों में तूफ़ान
दिल कर बैठा है प्यार अब मैं क्‌या करूँ मैं क्‌या करूँ

more nainā lāge un se jiyā chāhe so kahe

hue un se nainā chār ab maiṅ k‌yā karūṇ maiṅ k‌yā karūṇ
dil se gayā qarār ab maiṅ k‌yā karūṇ maiṅ k‌yā karūṇ

nayā sahārā pāyā dil ne bane vo man ke mīt-2
nayī umaṅgeṅ gātī haiṅ ab-2 naye nirāle gīt
chheṛ ke man ke tār ab maiṅ k‌yā karūṇ maiṅ k‌yā karūṇ

nainā man kā bhed batākar āp bane aṅjān-2
āśhāoṅ meṅ halchal hai ab āśhāoṅ meṅ halchal hai
armānoṅ meṅ tūfān
dil kar baiṭhā hai pyār ab maiṅ k‌yā karūṇ maiṅ k‌yā karūṇ