Hothon se chhoo lo tum, meraa geet amar kar do

होठों से छू लो तुम, मेरा गीत अमर कर दो
Work
Year
Language

होठों से छू लो तुम
मेरा गीत अमर कर दो
बन जाओ मीत मेरे
मेरी प्रीत अमर कर दो

ना उम्र की सीमा हो, ना जन्म का हो बंधन
जब प्यार करे कोई तो देखे केवल मन
नई रीत चलाकर तुम ये रीत अमर कर दो

आकाश का सूनापन मेरे तनहा मन में
पायल छनकाती तुम आ जाओ जीवन में
साँसे देकर अपनी संगीत अमर कर दो

जग ने छिना मुझसे, मुझे जो भी लगा प्यारा
सब जीता किये मुझसे, मैं हर दम ही हारा
तुम हार के दिल अपना, मेरी जीत अमर कर दो

hoṭhoṅ se chhū lo tum
merā gīt amar kar do
ban jāo mīt mere
merī prīt amar kar do

nā umr kī sīmā ho, nā janm kā ho baṅdhan
jab pyār kare koī to dekhe keval man
naī rīt chalākar tum ye rīt amar kar do

ākāśh kā sūnāpan mere tanhā man meṅ
pāyal chhankātī tum ā jāo jīvan meṅ
sāṇse dekar apnī saṅgīt amar kar do

jag ne chhinā mujhse, mujhe jo bhī lagā pyārā
sab jītā kiye mujhse, maiṅ har dam hī hārā
tum hār ke dil apnā, merī jīt amar kar do