होंठों से छूलो तुम, मेरा गीत अमर कर दो
होंठों से छूलो तुम
मेरा गीत अमर कर दो
बन जाओ मीत मेरे
मेरी प्रीत अमर कर दो
न उमर की सीमा हो
न जनम का हो बंधन
जब प्यार करे कोई
तो देखे केवल मन
नई रीत चलाकर तुम
ये रीत अमर कर दो
होंठों से छूलो तुम …
जग ने छीना मुझसे
मुझे जो भी लगा प्यारा
सब जीता किये मुझसे
मैं हर दम ही हारा
तुम हार के दिल अपना
मेरी जीत अमर कर दो
होंठों से छूलो तुम …
आकाश का सूनापन
मेरे तनहा मन में
पायल छनकाती तुम
आजाओ जीवन में
साँसें देकर अपनी
संगीत अमर कर दो
होंठों से छूलो तुम …
hoṅṭhoṅ se chhūlo tum
merā gīt amar kar do
ban jāo mīt mere
merī prīt amar kar do
na umar kī sīmā ho
na janam kā ho baṅdhan
jab pyār kare koī
to dekhe keval man
naī rīt chalākar tum
ye rīt amar kar do
hoṅṭhoṅ se chhūlo tum …
jag ne chhīnā mujhse
mujhe jo bhī lagā pyārā
sab jītā kiye mujhse
maiṅ har dam hī hārā
tum hār ke dil apnā
merī jīt amar kar do
hoṅṭhoṅ se chhūlo tum …
ākāśh kā sūnāpan
mere tanhā man meṅ
pāyal chhankātī tum
ājāo jīvan meṅ
sāṇseṅ dekar apnī
saṅgīt amar kar do
hoṅṭhoṅ se chhūlo tum …