Ho zaraa ruk jaa pyaare ruk jaa

हो ज़रा रुक जा प्यारे रुक जा
Year
Language

हो ज़रा रुक जा प्यारे रुक जा
आस लगाए बैठे हैं राहों में कब से हम
ज़रा रुक जा …

बुरा होता है राहों में मचलना
अजी अच्छा है रुक-रुक चलना
सुन प्यारे इतराए काहे यारों से कतराए काहे
आस लगाए बैठे …

आजा कब से पुकारे तुझे बन्दा
तेरे दम से चले है मेरा धन्धा
आजा तेरी service करें फिर क़िस्मत की थैली भरें
आस लगाए बैठे …

इन हाथों का जादू जो दिखा दूँ
तुझे घर तक अभी मैं पहुँचा दूँ
बिगड़ी हो तो बना दे आ जा
रुकती हो तो चला दे आजा
आस लगाए बैठे …

ho zarā ruk jā pyāre ruk jā
ās lagāe baiṭhe haiṅ rāhoṅ meṅ kab se ham
zarā ruk jā …

burā hotā hai rāhoṅ meṅ machalnā
ajī achchhā hai ruk-ruk chalnā
sun pyāre itrāe kāhe yāroṅ se katrāe kāhe
ās lagāe baiṭhe …

ājā kab se pukāre tujhe bandā
tere dam se chale hai merā dhandhā
ājā terī service kareṅ phir qismat kī thailī bhareṅ
ās lagāe baiṭhe …

in hāthoṅ kā jādū jo dikhā dūṇ
tujhe ghar tak abhī maiṅ pahuṇchā dūṇ
bigaṛī ho to banā de ā jā
ruktī ho to chalā de ājā
ās lagāe baiṭhe …