Ho nadiyaa kinaare nain hamaare tohe nihaaren

हो नदिया किनारे नैन हमारे तोहे निहारें
Year
Language

मु: हो नदिया किनारे नैन हमारे तोहे निहारें
हे: हाय रे दइया उई मोरी मइया पाँव में चुभ गया काँटा
कैसे चलूँ मन में जलूँ मैं कोई मुझे ले जाता
मु: हो नदिया किनारे …

हे: हाय रे हाय कैसा जुलम है
नदिया के पार मोरा बलम है
बार-बार बोले ये मोरी पायलिया ओ मेरे सजना आ आजा
मु: हो डस रहे हैं हमको सब नज़ारे -2
हो नदिया किनारे …

आजा पुकारूँ मैं तोहे सजनी
मन को जलाए बिरहा की अगनी
आज तुझे है प्रीत निभानी
बीत न जाए रुत यह सुहानी
हो आ तड़प रहे हैं बिन तिहारे -2
हो नदिया किनारे …

mu: ho nadiyā kināre nain hamāre tohe nihāreṅ
he: hāy re daiyā uī morī maiyā pāṇv meṅ chubh gayā kāṇṭā
kaise chalūṇ man meṅ jalūṇ maiṅ koī mujhe le jātā
mu: ho nadiyā kināre …

he: hāy re hāy kaisā julam hai
nadiyā ke pār morā balam hai
bār-bār bole ye morī pāyliyā o mere sajnā ā ājā
mu: ho ḍas rahe haiṅ hamko sab nazāre -2
ho nadiyā kināre …

ājā pukārūṇ maiṅ tohe sajnī
man ko jalāe birhā kī agnī
āj tujhe hai prīt nibhānī
bīt na jāe rut yah suhānī
ho ā taṛap rahe haiṅ bin tihāre -2
ho nadiyā kināre …