He re kanhaiyaa kisko kahegaa too maiyaa

हे रे कन्हैया किसको कहेगा तू मैया
Year
Language

हे रे कन्हैया किसको कहेगा तू मैया
एक ने तुझको जन्म दिया रे एक ने तुझको पाला
कन्हैया किसको कहेगा …

मानी मानताएँ और देवी-देव पूजे पीर सही देवकी ने
दूध में नहलाने का गोद में खिलाने का
सुख पाया यशोदा जी ने
एक ने तुझको जन्म दिया एक ने जीवन संभाला
कन्हैया किसको कहेगा …

मरने के डर से भेज दिया धर से देवकी ने रे गोकुल में
बिना दिए जन्म यशोदा बनी माता तुझको छुपाया आँचल में
जन्म दिया हो चाहे पाला हो किसी ने भेद ये ममता न जाने
कोई भी हो जिसने दिया हो प्यार माँ का मन तो माँ उसी को माने
एक ने तुझको दी हैं ये आँखें एक ने दिया उजाला
कन्हैया किसको कहेगा …

he re kanhaiyā kisko kahegā tū maiyā
ek ne tujhko janm diyā re ek ne tujhko pālā
kanhaiyā kisko kahegā …

mānī māntāeṇ aur devī-dev pūje pīr sahī devkī ne
dūdh meṅ nahlāne kā god meṅ khilāne kā
sukh pāyā yaśhodā jī ne
ek ne tujhko janm diyā ek ne jīvan saṅbhālā
kanhaiyā kisko kahegā …

marne ke ḍar se bhej diyā dhar se devkī ne re gokul meṅ
binā die janm yaśhodā banī mātā tujhko chhupāyā āṇchal meṅ
janm diyā ho chāhe pālā ho kisī ne bhed ye mamtā na jāne
koī bhī ho jisne diyā ho pyār māṇ kā man to māṇ usī ko māne
ek ne tujhko dī haiṅ ye āṇkheṅ ek ne diyā ujālā
kanhaiyā kisko kahegā …