He chaar paise k‌yaa mile ... kaahe paise pe itnaa ghuroor

हे चार पैसे क्‌या मिले ... काहे पैसे पे इतना ग़ुरूर्
Work
Year
Language

हे हे चार पैसे क्‌या मिले
क्‌या मिले भई क्‌या मिले
वो ख़ुद को समझ बैठे ख़ुदा
वो ख़ुदा ही जाने अब होगा तेरा अंजाम क्‌या

( काहे पैसे पे ) -2 इतना ( ग़ुरूर करे है ) -2
( यही पैसा तो ) -2 अपनों से ( दूर करे है ) -2
काहे पैसे पे …

सोने-चाँदी के ऊँचे महलों में
दर्द ज़्यादा है चैन थोड़ा है -2
इस ज़माने में पैसे वालों ने
प्यार छीना है दिल को तोड़ा है -2
पैसे की अहमियत से तो इन्कार नहीं है
पैसा ही मगर सब कुछ सरकार नहीं है
इन्साँ-इन्साँ है पैसा-पैसा है
दिल हमारा भी तेरे जैसा है
है भला पैसा तो बुरा भी है
ये ज़हर भी है ये नशा भी है -2
( ये नशा कोई ) -2 धोखा ज़रूर करे है
यही पैसा तो …

अरे चले कहाँ
ऐ पैसे से क्‌या-क्‌या तुम यहाँ ख़रीदोगे
हे दिल ख़रीदोगे या के जाँ ख़रीदोगे
बाज़ारों में प्यार कहाँ बिकता है
दुकानों पे यार कहाँ बिकता है
फूल बिक जाते हैं ख़ुश्बू बिकती नहीं
जिस्म बिक जाते हैं रूह बिकती नहीं
चैन बिकता नहीं ख़्वाब बिकते नहीं
दिल के अरमान बेताब बिकते नहीं
अरे पैसे से क्‌या-क्‌या …

( हे इन हवाओं का मोल क्‌या दोगे
इन घटाओं का मोल क्‌या दोगे
अरे इन ज़मीनों का मोल हो शायद
आसमानों का मोल क्‌या दोगे ) -2
पास पैसा है तो है ये ( दुनिया हसीं ) -2
हो ज़रूरत से ज़्यादा तो ( मानों यक़ीं ) -2
( ये दिमाग़ों में ) -2 पैदा फ़ितूर करे है
यही पैसा तो …

he he chār paise k‌yā mile
k‌yā mile bhaī k‌yā mile
vo khud ko samajh baiṭhe khudā
vo khudā hī jāne ab hogā terā aṅjām k‌yā

( kāhe paise pe ) -2 itnā ( ġhurūr kare hai ) -2
( yahī paisā to ) -2 apnoṅ se ( dūr kare hai ) -2
kāhe paise pe …

sone-chāṇdī ke ūṇche mahloṅ meṅ
dard zyādā hai chain thoṛā hai -2
is zamāne meṅ paise vāloṅ ne
pyār chhīnā hai dil ko toṛā hai -2
paise kī ahmiyat se to inkār nahīṅ hai
paisā hī magar sab kuchh sarkār nahīṅ hai
insāṇ-insāṇ hai paisā-paisā hai
dil hamārā bhī tere jaisā hai
hai bhalā paisā to burā bhī hai
ye zahar bhī hai ye naśhā bhī hai -2
( ye naśhā koī ) -2 dhokhā zarūr kare hai
yahī paisā to …

are chale kahāṇ
ai paise se k‌yā-k‌yā tum yahāṇ kharīdoge
he dil kharīdoge yā ke jāṇ kharīdoge
bāzāroṅ meṅ pyār kahāṇ biktā hai
dukānoṅ pe yār kahāṇ biktā hai
phūl bik jāte haiṅ khuśhbū biktī nahīṅ
jism bik jāte haiṅ rūh biktī nahīṅ
chain biktā nahīṅ khvāb bikte nahīṅ
dil ke armān betāb bikte nahīṅ
are paise se k‌yā-k‌yā …

( he in havāoṅ kā mol k‌yā doge
in ghaṭāoṅ kā mol k‌yā doge
are in zamīnoṅ kā mol ho śhāyad
āsmānoṅ kā mol k‌yā doge ) -2
pās paisā hai to hai ye ( duniyā hasīṅ ) -2
ho zarūrat se zyādā to ( mānoṅ yaqīṅ ) -2
( ye dimāġhoṅ meṅ ) -2 paidā fitūr kare hai
yahī paisā to …