Hazaaron saal se insaan kaa dil ... vo maseehaa aayaa hai

हज़ारों साल से इन्साँ का दिल ... वो मसीहा आया है
Work
Year
Language

हज़ारों साल से इन्साँ का दिल आँसू बहाता है
हज़ारों साल से कोई मसीहा बन के आता है
वो मसीहा आया है
बहुत दिनों ग़म ने हमें तड़पाया है

काँटों में पर्वत को देख रहा है फूल बहारों का
वो एक अकेला है जिसके दिल में दर्द हज़ारों का
वो एक अकेला मसीहा आया है
दवा सभी बीमारों की लाया है
वो मसीहा आया …

लो वो आगे चल निकला है तुम उसके पीछे हो जाओ
या पहुँचो अपनी मंज़िल पे या इन राहों में खो जाओ
क़सम उठा के उसने क़दम उठाया है
वो मसीहा आया …

( डर ख़ौफ़ भरम ) -2 सब हार गए इंसान की फ़ितरत जीत गई
जागो देखो खोलो आँखें वो रात दुखों की बीत गई
उठो किसी ने नींद से तुम्हें जगाया है
वो मसीहा आया …

hazāroṅ sāl se insāṇ kā dil āṇsū bahātā hai
hazāroṅ sāl se koī masīhā ban ke ātā hai
vo masīhā āyā hai
bahut dinoṅ ġham ne hameṅ taṛpāyā hai

kāṇṭoṅ meṅ parvat ko dekh rahā hai phūl bahāroṅ kā
vo ek akelā hai jiske dil meṅ dard hazāroṅ kā
vo ek akelā masīhā āyā hai
davā sabhī bīmāroṅ kī lāyā hai
vo masīhā āyā …

lo vo āge chal niklā hai tum uske pīchhe ho jāo
yā pahuṇcho apnī maṅzil pe yā in rāhoṅ meṅ kho jāo
qasam uṭhā ke usne qadam uṭhāyā hai
vo masīhā āyā …

( ḍar khauf bharam ) -2 sab hār gae iṅsān kī fitarat jīt gaī
jāgo dekho kholo āṇkheṅ vo rāt dukhoṅ kī bīt gaī
uṭho kisī ne nīṅd se tumheṅ jagāyā hai
vo masīhā āyā …