Hazaar raahen, murke dekheen

हज़ार राहें, मुड़के देखीं
Year
Language

कि: हज़ार राहें, मुड़के देखीं
कहीं से कोई सदा ना आई
ल: बड़ी वफ़ा से, निभाई तुमने
हमारी थोड़ी सी बेवफ़ाई …

कि: जहाँ से तुम मोड़ मुड़ गये थे - 2
वो मोड़ अब भी वही खड़े हैं
ल: हम अपने पैरों में जाने कितने - 2
भंवर लपेटे हुए खड़े हैं
बड़ी वफ़ा से, निभाई तुमने
हमारी थोड़ी सी बेवफ़ाई …

कि: कहीं किसी रोज़ यूं भी होता
हमारी हालत तुम्हारी होती
ल: जो रातें हमने गुज़ारी मरके
वो रात तुमने गुज़ारी होतीं
बड़ी वफ़ा से, निभाई तुमने
हमारी थोड़ी सी बेवफ़ाई…

कि: उन्हें ये ज़िद थी के हम बुलाते
हमें ये उम्मीद वो पुकारें
ल: है नाम होंठों में अब भी लेकिन
आवाज़ में पड़ गई दरारें

कि: हज़ार राहें, मुड़के देखीं
कहीं से कोई सदा ना आई
ल: बड़ी वफ़ा से, निभाई तुमने
हमारी थोड़ी सी बेवफ़ाई…

ki: hazār rāheṅ, muṛke dekhīṅ
kahīṅ se koī sadā nā āī
la: baṛī vafā se, nibhāī tumne
hamārī thoṛī sī bevafāī …

ki: jahāṇ se tum moṛ muṛ gaye the - 2
vo moṛ ab bhī vahī khaṛe haiṅ
la: ham apne pairoṅ meṅ jāne kitne - 2
bhaṅvar lapeṭe hue khaṛe haiṅ
baṛī vafā se, nibhāī tumne
hamārī thoṛī sī bevafāī …

ki: kahīṅ kisī roz yūṅ bhī hotā
hamārī hālat tumhārī hotī
la: jo rāteṅ hamne guzārī marke
vo rāt tumne guzārī hotīṅ
baṛī vafā se, nibhāī tumne
hamārī thoṛī sī bevafāī…

ki: unheṅ ye zid thī ke ham bulāte
hameṅ ye ummīd vo pukāreṅ
la: hai nām hoṅṭhoṅ meṅ ab bhī lekin
āvāz meṅ paṛ gaī darāreṅ

ki: hazār rāheṅ, muṛke dekhīṅ
kahīṅ se koī sadā nā āī
la: baṛī vafā se, nibhāī tumne
hamārī thoṛī sī bevafāī…