Hawa hai sard sard (slow, whistle)

हवा है सर्द सर्द्
Work
Year
Language

हवा है सर्द सर्द और दिल में भी है दर्द
बरसी है कहीं आज घटा

मौसम का रंग है अजीब, बुल्बुल से फूल है करीब
आये बहार के कदम, जागा है बाग का नसीब
सुनके घटा का शोर,जुन्गल में नाचा मोर
बरसी है कहीं आज घटा

शाकें सवर सवर गयी, कलियां निकर निकर गयी
देखा समा झुला झुला, नज़्रें जिधर जिधर गयी
कैसा अजब है रंग, भीगा है अंग अंग
बरसी है कहीं आज घटा

हवा है सर्द सर्द …

havā hai sard sard aur dil meṅ bhī hai dard
barsī hai kahīṅ āj ghaṭā

mausam kā raṅg hai ajīb, bulbul se phūl hai karīb
āye bahār ke kadam, jāgā hai bāg kā nasīb
sunke ghaṭā kā śhor,jungal meṅ nāchā mor
barsī hai kahīṅ āj ghaṭā

śhākeṅ savar savar gayī, kaliyāṅ nikar nikar gayī
dekhā samā jhulā jhulā, nazreṅ jidhar jidhar gayī
kaisā ajab hai raṅg, bhīgā hai aṅg aṅg
barsī hai kahīṅ āj ghaṭā

havā hai sard sard …