Haseen chaand-sitaaron kaa vaastaa aa jaa

हसीन चाँद-सितारों का वास्ता आ जा
Year
Language

आ: हसीन चाँद-सितारों का वास्ता आ जा
धड़कते दिल के इशारों का वास्ता आ जा
हसीन चाँद-सितारों …

त: मुझे पुकारने वाले मैं काश आ सकता
झुकाता सर तेरे क़दमों में गर झुका सकता
आ: तेरे बग़ैर गुलिस्ताँ है मेरा वीराना
बहार लेके बहारों का वास्ता आ जा
हसीन चाँद-सितारों …

त: तुझे तलाश बहारों की फिर नहीं होती
जिगर के दाग़ अगर तुझको मैं दिखा सकता
आ: फिर एक बार मोहब्बत की आबरू रख ले
ग़रीब दिल की पुकारों का वास्ता आ जा
हसीन चाँद-सितारों …

त: न तू पुकारता मुझको न मैं तड़प जाता
नसीब बिगड़े हुए दिल अगर मिला सकता
आ: नसीब रूठ गया है तो रूठ जाने दे
मगर नसीब के मारों का वास्ता आ जा
हसीन चाँद-सितारों …

ā: hasīn chāṇd-sitāroṅ kā vāstā ā jā
dhaṛakte dil ke iśhāroṅ kā vāstā ā jā
hasīn chāṇd-sitāroṅ …

ta: mujhe pukārne vāle maiṅ kāśh ā saktā
jhukātā sar tere qadmoṅ meṅ gar jhukā saktā
ā: tere baġhair gulistāṇ hai merā vīrānā
bahār leke bahāroṅ kā vāstā ā jā
hasīn chāṇd-sitāroṅ …

ta: tujhe talāśh bahāroṅ kī phir nahīṅ hotī
jigar ke dāġh agar tujhko maiṅ dikhā saktā
ā: phir ek bār mohabbat kī ābrū rakh le
ġharīb dil kī pukāroṅ kā vāstā ā jā
hasīn chāṇd-sitāroṅ …

ta: na tū pukārtā mujhko na maiṅ taṛap jātā
nasīb bigaṛe hue dil agar milā saktā
ā: nasīb rūṭh gayā hai to rūṭh jāne de
magar nasīb ke māroṅ kā vāstā ā jā
hasīn chāṇd-sitāroṅ …