हरियाला सावन ढोल बजाता आया
म: धिन तक तक तक तक
तगिन तगिन गिन गिन रे ए ए
को: उड़ जग जग उड़ जग जगी
ल: हरियाला सावन ढोल बजाता आया
हरियाला सावन ढोल बजाता आया
धिन तक तक मन के मोर नचाता आया
मिट्टी में जान जगाता आया
को: धरती पहनेगी हरी चुनरिया
बनके दुल्हनिया
म: हे ए ए
एक अगन बुझी एक अगन लगी
मन मगन हुआ एक लगन लगी
को: या याई याई या रे
या याई याई या रे
म: बैठ न तू मन मारे
को: आ गगन तले देख पवन चले
ल: आजा मिलजुल के गाए
जीवन क गीत नया
ल: ऐसे बीज बिछा रे
को: सुख चैन उगे दुख दर्द मिटे
म: नैनों में नाचे रे
सपनों का धान हरा
ma: dhin tak tak tak tak
tagin tagin gin gin re e e
ko: uṛ jag jag uṛ jag jagī
la: hariyālā sāvan ḍhol bajātā āyā
hariyālā sāvan ḍhol bajātā āyā
dhin tak tak man ke mor nachātā āyā
miṭṭī meṅ jān jagātā āyā
ko: dhartī pahnegī harī chunriyā
banke dulhniyā
ma: he e e
ek agan bujhī ek agan lagī
man magan huā ek lagan lagī
ko: yā yāī yāī yā re
yā yāī yāī yā re
ma: baiṭh na tū man māre
ko: ā gagan tale dekh pavan chale
la: ājā miljul ke gāe
jīvan ka gīt nayā
la: aise bīj bichhā re
ko: sukh chain uge dukh dard miṭe
ma: nainoṅ meṅ nāche re
sapnoṅ kā dhān harā