Har tarah ke jaz्baat kaa ailaan hain aankhen

हर तरह के जज़्बात का ऐलान हैं आँखें
Work
Year
Language

हर तरह के जज़्बात का ऐलान हैं आँखें
शबनम कभी शोला कभी तूफ़ान हैं आँखें

आँखों से बड़ी कोई तराज़ू नहीं होती -2
तुलता है बशर जिसमें वो मीजान हैं आँखें
हर तरह के जज़्बात …

आँखें ही मिलाती हैं ज़माने में दिलों को -2
अनजान हैं हम-तुम अगर अनजान हैं आँखें
हर तरह के जज़्बात …

लब कुछ भी कहें इससे हक़ीक़त नहीं खुलती
इनसान के सच-झूठ की पहचान हैं आँखें
हर तरह के जज़्बात …

आँखें न झुकें तेरी किसी ग़ैर के आगे -2
दुनिया में बड़ी चीज़ मेरी जान हैं आँखें
हर तरह के जज़्बात …

उस मुल्क़ की सरहद को कोई छू नहीं सकता -2
जिस मुल्क़ की सरहद की निगेहबान हैं आँखें
हर तरह के जज़्बात …

har tarah ke jazbāt kā ailān haiṅ āṇkheṅ
śhabnam kabhī śholā kabhī tūfān haiṅ āṇkheṅ

āṇkhoṅ se baṛī koī tarāzū nahīṅ hotī -2
tultā hai baśhar jismeṅ vo mījān haiṅ āṇkheṅ
har tarah ke jazbāt …

āṇkheṅ hī milātī haiṅ zamāne meṅ diloṅ ko -2
anjān haiṅ ham-tum agar anjān haiṅ āṇkheṅ
har tarah ke jazbāt …

lab kuchh bhī kaheṅ isse haqīqat nahīṅ khultī
insān ke sach-jhūṭh kī pahchān haiṅ āṇkheṅ
har tarah ke jazbāt …

āṇkheṅ na jhukeṅ terī kisī ġhair ke āge -2
duniyā meṅ baṛī chīz merī jān haiṅ āṇkheṅ
har tarah ke jazbāt …

us mulq kī sarahad ko koī chhū nahīṅ saktā -2
jis mulq kī sarahad kī nigehbān haiṅ āṇkheṅ
har tarah ke jazbāt …