हक़ माँगते हैं अपने पसीने का
हक़ माँगते हैं अपने पसीने का
अधिकार हमें भी है जीने का
तुम लाख अमीरों ऐश करो हम देख तुम्हें कब जलते हैं
साए में तुम्हारे महलों के लेकिन कितने ग़म पलते हैं
देखो तो नज़ारा आके कभी ग़म खाने आँसू पीने का
हक़ माँगते हैं …
मेहनत पे हमारी ही तुमने ये शीशमहल है खड़ा किया
तुम जिनको छोटा कहते हो इन छोटों ने तुमको बड़ा किया
क्यों साल के पीछे चुभता है फिर बोनस एक महीने का
हक़ माँगते हैं …
तुम खुद भी जियो और जीने दो है माँग यही मज़दूरों की
इन्साफ़ करो इन्साफ़ करो आह न लो मज़दूरों की
शोला न कहीं बनकर भड़के अब तक जो धुआँ है सीने का
हक़ माँगते हैं …
haq māṇgte haiṅ apne pasīne kā
adhikār hameṅ bhī hai jīne kā
tum lākh amīroṅ aiśh karo ham dekh tumheṅ kab jalte haiṅ
sāe meṅ tumhāre mahloṅ ke lekin kitne ġham palte haiṅ
dekho to nazārā āke kabhī ġham khāne āṇsū pīne kā
haq māṇgte haiṅ …
mehnat pe hamārī hī tumne ye śhīśhmahal hai khaṛā kiyā
tum jinko chhoṭā kahte ho in chhoṭoṅ ne tumko baṛā kiyā
kyoṅ sāl ke pīchhe chubhtā hai phir bonas ek mahīne kā
haq māṇgte haiṅ …
tum khud bhī jiyo aur jīne do hai māṇg yahī mazdūroṅ kī
insāf karo insāf karo āh na lo mazdūroṅ kī
śholā na kahīṅ bankar bhaṛke ab tak jo dhuāṇ hai sīne kā
haq māṇgte haiṅ …