Hamen maar chalaa ye khyaal ye gham na idhar ke rahe na udhar ke rahe

हमें मार चला ये ख़्याल ये ग़म न इधर के रहे न उधर के रहे
Work
Year
Language

हमें मार चला ये ख़्याल ये ग़म
न इधर के रहे न उधर के रहे
किसी और का हो गया कोई तो हम
न इधर के रहे …

हम ज़हर तो खा लेते उन बिन
ख़न्जर भी चला लेते लेकिन
न हो उनको ख़बर तो हाय सितम
न इधर के रहे …

है ये प्यार का फन्दा गर्दन में
जीते न बने मरते न बने
यूँही बीच गले में अटका है दम
न इधर के रहे …
हमें मार चला …

hameṅ mār chalā ye khyāl ye ġham
na idhar ke rahe na udhar ke rahe
kisī aur kā ho gayā koī to ham
na idhar ke rahe …

ham zahar to khā lete un bin
khanjar bhī chalā lete lekin
na ho unko khabar to hāy sitam
na idhar ke rahe …

hai ye pyār kā phandā gardan meṅ
jīte na bane marte na bane
yūṇhī bīch gale meṅ aṭkā hai dam
na idhar ke rahe …
hameṅ mār chalā …