हमें कोई ग़म नहीं था ग़म-ए-आशिकी से पहले
न थी दुश्मनी किसीसे तेरी दोस्ती से पहले
है ये मेरी बदनसीबी तेरा क्या कुसूर इस में
तेरे ग़म ने मार डाला मुझे ज़िन्दगी से पहले
मेरा प्यार जल रहा है, अरे चाँद आज छुप जा
कभी प्यार था हमें भी, तेरी चांदनी से पहले
मैं कभी न मुस्कुराता, जो मुझे ये इल्म होता
के हज़ार ग़म मिलेंगे मुझे इक खुशी से पहले
ये अजीब इम्तिहान है के तुम्हीं को भूलना है
मिले कब थे इस तरह हम तुम्हें बेदिली से पहले
हमें कोई ग़म नहीं था ग़म-ए-आशिकी से पहले
Work
Year
Language
hameṅ koī ġham nahīṅ thā ġham-e-āśhikī se pahle
na thī duśhmnī kisīse terī dostī se pahle
hai ye merī badansībī terā kyā kusūr is meṅ
tere ġham ne mār ḍālā mujhe zindgī se pahle
merā pyār jal rahā hai, are chāṇd āj chhup jā
kabhī pyār thā hameṅ bhī, terī chāṅdnī se pahle
maiṅ kabhī na muskurātā, jo mujhe ye ilm hotā
ke hazār ġham mileṅge mujhe ik khuśhī se pahle
ye ajīb imtihān hai ke tumhīṅ ko bhūlnā hai
mile kab the is tarah ham tumheṅ bedilī se pahle