Hame kaash tumse mohabbat naa hotee

हमे काश तुमसे मोहब्बत ना होती
Year
Language

हमे काश तुमसे मोहब्बत न होती
कहानी हमारी हक़ीक़त न होती
ना दिल तुमको देते, न मजबूर होते
ना दुनिया, ना दुनिया के दस्तूर होते
क़यामत से पहले क़यामत न होती
हमे काश तुमसे मोहब्बत न होती
हम ही बढ़ गये इश्क़ में हद से आगे
जमाने ने ठोकर लगाई तो जागे
अगर मर भी जाते तो हैरत न होती
हमे काश तुमसे मुहब्बत न होती
तुम्ही फूँक देते नशेमन हमारा
मोहब्बत पर एहसान होता तुम्हारा
ज़माने पे कोई शिकायत न होती
हमे काश तुमसे मुहब्बत न होती

hame kāśh tumse mohabbat na hotī
kahānī hamārī haqīqat na hotī
nā dil tumko dete, na majbūr hote
nā duniyā, nā duniyā ke dastūr hote
qayāmat se pahle qayāmat na hotī
hame kāśh tumse mohabbat na hotī
ham hī baṛh gaye iśhq meṅ had se āge
jamāne ne ṭhokar lagāī to jāge
agar mar bhī jāte to hairat na hotī
hame kāśh tumse muhabbat na hotī
tumhī phūṇk dete naśheman hamārā
mohabbat par ehsān hotā tumhārā
zamāne pe koī śhikāyat na hotī
hame kāśh tumse muhabbat na hotī