Ham tum se muhabbat kar ke sanam, duniyaa kaa fasaanaa bhool gaye

हम तुम से मुहब्बत कर के सनम, दुनिया का फ़साना भूल गये
Year
Language

हम तुम से मुहब्बत कर के सनम, दुनिया का फ़साना भूल गये
आँखों से तेरी एक जाम पिया फिर होश में आना भूल गये

जब देख ली तेरी मस्त नज़र मैखाने का रस्ता छोड़ दिया
ज़ुल्फ़ों पे तेरी जब आँख पड़ी, सावन का ज़माना भूल गये
आँखों से तेरी …

ऐ हुस्न तेरी उल्फ़त ने हमें पहुँचा दिया ऐसी मंज़िल पे
कदमों पे तेरे एक सजदा किया, फिर सर को उठाना भूल गये
आँखों से तेरी …

ham tum se muhabbat kar ke sanam, duniyā kā fasānā bhūl gaye
āṇkhoṅ se terī ek jām piyā phir hośh meṅ ānā bhūl gaye

jab dekh lī terī mast nazar maikhāne kā rastā chhoṛ diyā
zulfoṅ pe terī jab āṇkh paṛī, sāvan kā zamānā bhūl gaye
āṇkhoṅ se terī …

ai husn terī ulfat ne hameṅ pahuṇchā diyā aisī maṅzil pe
kadmoṅ pe tere ek sajdā kiyā, phir sar ko uṭhānā bhūl gaye
āṇkhoṅ se terī …