Ham se aayaa na gayaa tum se bulaayaa naa gayaa

हम से आया न गया तुम से बुलाया ना गया
Year
Language

हम से आया न गया तुम से बुलाया ना गया
फ़ासला प्यार में दोनों से मिटाया ना गया

वो घड़ी याद है जब तुम से मुलाक़ात हुई
एक इशारा हुआ दो हाथ बढ़े बात हुई
देखते देखते दिन ढल गया और रात हुई
वो समां आज तलक दिल से भुलाया ना गया
हम से आया न गया

क्‌या ख़बर थी के मिले हैं तो बिछड़ने के लिये
क़िस्मतें अपनी बनाईं हैं बिगड़ने के लिये
प्यार का बाग बसाया था उजड़ने के लिये
इस तरह उजड़ा के फिर हम से बसाया ना गया
हम से आया न गया

याद रग जाती है और वक़्त गुज़र जाता है
फूल खिलता है मगर खिल के बिखर जाता है
सब चले जाते हैं फिर दर्दे जिगर जाता है
दाग़ जो तूने दिया दिल ने मिटाया ना गया
हम से आया न गया …

ham se āyā na gayā tum se bulāyā nā gayā
fāslā pyār meṅ donoṅ se miṭāyā nā gayā

vo ghaṛī yād hai jab tum se mulāqāt huī
ek iśhārā huā do hāth baṛhe bāt huī
dekhte dekhte din ḍhal gayā aur rāt huī
vo samāṅ āj talak dil se bhulāyā nā gayā
ham se āyā na gayā

k‌yā khabar thī ke mile haiṅ to bichhaṛne ke liye
qismteṅ apnī banāīṅ haiṅ bigaṛne ke liye
pyār kā bāg basāyā thā ujaṛne ke liye
is tarah ujaṛā ke phir ham se basāyā nā gayā
ham se āyā na gayā

yād rag jātī hai aur vaqt guzar jātā hai
phūl khiltā hai magar khil ke bikhar jātā hai
sab chale jāte haiṅ phir darde jigar jātā hai
dāġh jo tūne diyā dil ne miṭāyā nā gayā
ham se āyā na gayā …