Ham pyaar tumheen se karte hain

हम प्यार तुम्हीं से करते हैं
Work
Year
Language

हम प्यार तुम्हीं से करते हैं -2
नादान बलम तुम क्‌या जानो
तुम रूठ गये दिल टूट गया
पाया है जो ग़म तुम क्‌या जानो
हम प्यार तुम्हीं से करते हैं

जब हमको बनाया था अपना
क्‌यूँ हाल न दिल का जान सके
इक फूल चुना
इक फूल चुना और फेंक दिया
ख़ुश्बू ?? सके
ठुकरा दिया मेरी उलफ़त को
अपना ये सितम तुम क्‌या जानो
हम प्यार तुम्हीं से करते हैं

मिट जाये मोहब्बत की दुनिया
ये बात कोई आसान नहीं
अरमान भरा
अरमान भरा ये दिल मेरा
नाज़ुक है मगर नादान नहीं
मुँह फेर लो हमसे लाख मगर
बदलेंगे न हम तुम क्‌या जानो
हम प्यार तुम्हीं से करते हैं

हम प्यार तुम्हीं से करते हैं
नादान बलम तुम क्‌या जानो
हम प्यार तुम्हीं से करते हैं

ham pyār tumhīṅ se karte haiṅ -2
nādān balam tum k‌yā jāno
tum rūṭh gaye dil ṭūṭ gayā
pāyā hai jo ġham tum k‌yā jāno
ham pyār tumhīṅ se karte haiṅ

jab hamko banāyā thā apnā
k‌yūṇ hāl na dil kā jān sake
ik phūl chunā
ik phūl chunā aur pheṅk diyā
khuśhbū ?? sake
ṭhukrā diyā merī ulafat ko
apnā ye sitam tum k‌yā jāno
ham pyār tumhīṅ se karte haiṅ

miṭ jāye mohabbat kī duniyā
ye bāt koī āsān nahīṅ
armān bharā
armān bharā ye dil merā
nāzuk hai magar nādān nahīṅ
muṇh pher lo hamse lākh magar
badleṅge na ham tum k‌yā jāno
ham pyār tumhīṅ se karte haiṅ

ham pyār tumhīṅ se karte haiṅ
nādān balam tum k‌yā jāno
ham pyār tumhīṅ se karte haiṅ