Ham pyaar men jalnevaalon ko chain kahaan haay, aaraam kahaan

हम प्यार में जलनेवालों को चैन कहाँ हाय, आराम कहाँ
Work
Year
Language

हम प्यार में जलनेवालों को चैन कहाँ हाय, आराम कहाँ

प्रीत की अंधियारी मंज़िल में चारों ओर सियाही
आधी राह में ही लुट जाए इस मंजिल का राही
काटोंपर चलनेवालों को चैन कहाँ हाय, आराम कहाँ

बहलाए जब दिल ना बहले तो ऐसे बहलाये
ग़म ही तो है प्यार की दौलत ये कहकर समझाये
अपना मन छलनेवालों को चैन कहाँ हाय, आराम कहाँ

ham pyār meṅ jalnevāloṅ ko chain kahāṇ hāy, ārām kahāṇ

prīt kī aṅdhiyārī maṅzil meṅ chāroṅ or siyāhī
ādhī rāh meṅ hī luṭ jāe is maṅjil kā rāhī
kāṭoṅpar chalnevāloṅ ko chain kahāṇ hāy, ārām kahāṇ

bahlāe jab dil nā bahle to aise bahlāye
ġham hī to hai pyār kī daulat ye kahkar samjhāye
apnā man chhalnevāloṅ ko chain kahāṇ hāy, ārām kahāṇ