Ham pyaar men jalnevaalon ko chain kahaan, haay, aaraam kahaan

हम प्यार में जलनेवालों को चैन कहाँ, हाय, आराम कहाँ
Work
Year
Language

हम प्यार में जलनेवालों को
चैन कहाँ, हाय, आराम कहाँ
हम प्यार में जलनेवालों को …

प्रीत की अँधियारी मंज़िल में, चारों ओर सियाही
आधी राह में ही रुक जाये, इस मंज़िल का राही
काँटों पर चलनेवालों को, चैन कहाँ, हाय, आराम कहाँ
हम प्यार में जलनेवालों को …

बहलाये जब दिल ना बहले, तो ऐसे बहलायें
गम ही तो है प्यार की दौलत, ये कहकर समझायें
अपना मन छलनेवालों को, चैन कहाँ, हाय, आराम कहाँ
हम प्यार में जलनेवालों को …

ham pyār meṅ jalnevāloṅ ko
chain kahāṇ, hāy, ārām kahāṇ
ham pyār meṅ jalnevāloṅ ko …

prīt kī aṇdhiyārī maṅzil meṅ, chāroṅ or siyāhī
ādhī rāh meṅ hī ruk jāye, is maṅzil kā rāhī
kāṇṭoṅ par chalnevāloṅ ko, chain kahāṇ, hāy, ārām kahāṇ
ham pyār meṅ jalnevāloṅ ko …

bahlāye jab dil nā bahle, to aise bahlāyeṅ
gam hī to hai pyār kī daulat, ye kahkar samjhāyeṅ
apnā man chhalnevāloṅ ko, chain kahāṇ, hāy, ārām kahāṇ
ham pyār meṅ jalnevāloṅ ko …