हम पन्छी मसताने एक ही धुन है
को: हम पन्छी मसताने -2
ल: एक ही धुन है
गी: एक ही मन्ज़िल
दो: प्यार के हम दीवाने
हम पन्छी मसताने -2
ल: ( धरती को छोड़ कर पीछे
बादल के पार जाना है ) -2
गी: चुन-चुन के शोख़ तारों को
एक आशियाँ बनाना है
ल: एक लगन है
गी: एक ही मस्ती
को: इक जैसे अफ़साने
हम पन्छी मसताने -2
ल: ( दिल की लगी ये कहती है
रुकने का नाम मत लेना ) -2
गी: तूफ़ान रे (?) सितारों के
छुपने का नाम ना लेना
ल: प्यार शमा है
गी: हम दिलवाले
को: उसी के हैं परवाने
हम पन्छी मसताने -2
ल: ( इक साथ चल पड़े हैं तो
मन्ज़िल को ढूँढ ही लेंगे ) -2
गी: जिस दिल में घर बनाना है
उस दिल को ढूँढ ही लेंगे
को: हम अलबेले
आज चले हैं
दुनिया नई बसाने
हम पन्छी मसताने -2
एक ही धुन है
एक ही मन्ज़िल
प्यार के हम दीवाने
हम पन्छी मसताने -2
ko: ham panchhī mastāne -2
la: ek hī dhun hai
gī: ek hī manzil
do: pyār ke ham dīvāne
ham panchhī mastāne -2
la: ( dhartī ko chhoṛ kar pīchhe
bādal ke pār jānā hai ) -2
gī: chun-chun ke śhokh tāroṅ ko
ek āśhiyāṇ banānā hai
la: ek lagan hai
gī: ek hī mastī
ko: ik jaise afsāne
ham panchhī mastāne -2
la: ( dil kī lagī ye kahtī hai
rukne kā nām mat lenā ) -2
gī: tūfān re (?) sitāroṅ ke
chhupne kā nām nā lenā
la: pyār śhamā hai
gī: ham dilvāle
ko: usī ke haiṅ parvāne
ham panchhī mastāne -2
la: ( ik sāth chal paṛe haiṅ to
manzil ko ḍhūṇḍh hī leṅge ) -2
gī: jis dil meṅ ghar banānā hai
us dil ko ḍhūṇḍh hī leṅge
ko: ham albele
āj chale haiṅ
duniyā naī basāne
ham panchhī mastāne -2
ek hī dhun hai
ek hī manzil
pyār ke ham dīvāne
ham panchhī mastāne -2