Ham ne jo dekhe sapne, sach ho gae vo apne

हम ने जो देखे सपने, सच हो गए वो अपने
Work
Year
Language

हम ने जो देखे सपने, सच गो गए वो अपने
ओ मेरे साजना दिन आ गए हैं प्यार के
मेरे साजना दिन आ गए क़रार के
हम ने जो देखे सपने …

ऐसे ही सदा सजधज के मेरी
आँखों में रहो जवां तुम
मैं साया बन के साथ चलूं
मुझे ले चलो जहां तुम
हम ने जो देखे सपने …

हम जनम जनम के साथी हैं
पूजा है प्रीत हमारी
इस जनम में तुमको पा ही लिया
मैं हो गई तुम्हारी
हम ने जो देखे सपने …

ham ne jo dekhe sapne, sach go gae vo apne
o mere sājnā din ā gae haiṅ pyār ke
mere sājnā din ā gae qarār ke
ham ne jo dekhe sapne …

aise hī sadā sajadhaj ke merī
āṇkhoṅ meṅ raho javāṅ tum
maiṅ sāyā ban ke sāth chalūṅ
mujhe le chalo jahāṅ tum
ham ne jo dekhe sapne …

ham janam janam ke sāthī haiṅ
pūjā hai prīt hamārī
is janam meṅ tumko pā hī liyā
maiṅ ho gaī tumhārī
ham ne jo dekhe sapne …