हम लाये हैं तूफ़ान से कश्ती निकाल के
पासे सभी उलट गए दुश्मन की चाल के
अक्शर सभी पलट गए भारत के भाल के
मंज़िल पे आया मुल्क हर बला को टाल के
सदियों के बाद फिर उड़े बादल गुलाल के
हम लाए हैं तूफ़ान से कश्ती निकाल के
इस देश को रखना मेरे बच्चों सम्भाल के
तुम ही भविष्य हो मेरे भारत विशाल के
इस देश को रखना मेरे बच्चों सम्भाल के
1) देखो कहीं बरबाद ना होए ये बगीचा
इसको हृदय के खून से बापू ने है सींचा
रक्खा है ये चिराग़ शहीदों ने बाल के, इस देश को…
2) दुनिया के दांव पेंच से रखना ना वास्ता
मंज़िल तुम्हारी दूर है लम्बा है रास्ता
भटका ना दे कोई तुम्हें धोखे में डाल के, इस देश को…
3) ऐटम बमों के जोर पे ऐंठी है ये दुनिया
बारूद के इक ढेर पे बैठी है ये दुनिया
तुम हर कदम उठाना ज़रा देख भाल के, इस देश को…
4) आराम की तुम भूल भुलय्या में ना भूलो
सपनों के हिंडोलों पे मगन होके ना झूलो
अब वक़्त आ गया है मेरे हँसते हुए फूलों
उठो छलाँग मार के आकाश को छू लो
तुम गाड़ दो गगन पे तिरंगा उछाल के, इस देश को…
pāse sabhī ulaṭ gae duśhman kī chāl ke
akśhar sabhī palaṭ gae bhārat ke bhāl ke
maṅzil pe āyā mulk har balā ko ṭāl ke
sadiyoṅ ke bād phir uṛe bādal gulāl ke
ham lāe haiṅ tūfān se kaśhtī nikāl ke
is deśh ko rakhnā mere bachchoṅ sambhāl ke
tum hī bhaviṣhy ho mere bhārat viśhāl ke
is deśh ko rakhnā mere bachchoṅ sambhāl ke
1) dekho kahīṅ barbād nā hoe ye bagīchā
isko hṛday ke khūn se bāpū ne hai sīṅchā
rakkhā hai ye chirāġh śhahīdoṅ ne bāl ke, is deśh ko…
2) duniyā ke dāṅv peṅch se rakhnā nā vāstā
maṅzil tumhārī dūr hai lambā hai rāstā
bhaṭkā nā de koī tumheṅ dhokhe meṅ ḍāl ke, is deśh ko…
3) aiṭam bamoṅ ke jor pe aiṅṭhī hai ye duniyā
bārūd ke ik ḍher pe baiṭhī hai ye duniyā
tum har kadam uṭhānā zarā dekh bhāl ke, is deśh ko…
4) ārām kī tum bhūl bhulayyā meṅ nā bhūlo
sapnoṅ ke hiṅḍoloṅ pe magan hoke nā jhūlo
ab vaqt ā gayā hai mere hṇste hue phūloṅ
uṭho chhalāṇg mār ke ākāśh ko chhū lo
tum gāṛ do gagan pe tiraṅgā uchhāl ke, is deśh ko…