Ham laakh chhupaaen pyaar magar duniyaa ko

हम लाख छुपाएं प्यार मगर दुनिया को
Year
Language

हम लाख छुपाएं प्यार मगर दुनिया को पता चल जाएगा
लेकिन छुप छुप के मिलने से मिलने का मज़ा तो आएगा

तुम कितने भोले भाले हो हर बात को खेल समझते हो
मैं जब दुनिया की कहता हूँ तुम अपने दिल की कहती हो
यह प्यार हमारा रब जाने ( जाने क्‌या रंग लाएगा ) -2
लेकिन छुप छुप के …

ये मस्त हवा महकी ये फ़िज़ा आँखों में नशा सा छाता है
इक रंग ख़ुशी का आता है इक रंग ख़ुशी का जाता है
ये मीठा मीठा दर्द मुझे दिन रात यूँ ही तड़पाएगा
लेकिन छुप छुप के …

तुम इन बाँहों के घेरे में आँखें बन्द करके सो जाओ
कल क्‌या होगा ये भूल के तुम मीठे सपनों में खो जाओ
मैं रखवाला इस तन मन का जो होगा देखा जाएगा
लेकिन छुप छुप के …

ham lākh chhupāeṅ pyār magar duniyā ko patā chal jāegā
lekin chhup chhup ke milne se milne kā mazā to āegā

tum kitne bhole bhāle ho har bāt ko khel samajhte ho
maiṅ jab duniyā kī kahtā hūṇ tum apne dil kī kahtī ho
yah pyār hamārā rab jāne ( jāne k‌yā raṅg lāegā ) -2
lekin chhup chhup ke …

ye mast havā mahkī ye fizā āṇkhoṅ meṅ naśhā sā chhātā hai
ik raṅg khuśhī kā ātā hai ik raṅg khuśhī kā jātā hai
ye mīṭhā mīṭhā dard mujhe din rāt yūṇ hī taṛpāegā
lekin chhup chhup ke …

tum in bāṇhoṅ ke ghere meṅ āṇkheṅ band karke so jāo
kal k‌yā hogā ye bhūl ke tum mīṭhe sapnoṅ meṅ kho jāo
maiṅ rakhvālā is tan man kā jo hogā dekhā jāegā
lekin chhup chhup ke …