Ham ko man kee shakti denaa, man vijay kare

हम को मन की शक्ति देना, मन विजय करे
Work
Year
Language

हम को मन की शक्ति देना, मन विजय करे
दूसरों की जय से पहले, खुद को जय करे

भेदभाव अपने दिल से साफ़ कर सके
दोस्तों से भूल हो तो माफ़ कर सके
झूठ से बचे रहें, सच का दम भरे
दूसरों की जय से पहले, खुद को जय करे

मुश्किलें पड़े तो हम पे इतना कर्म कर
साथ दे तो धर्म का, चले तो धर्म कर
खुद पे हौसला रहे, बदी से ना डरे
दूसरों की जय से पहले, खुद को जय करे

ham ko man kī śhakti denā, man vijay kare
dūsroṅ kī jay se pahle, khud ko jay kare

bhedbhāv apne dil se sāf kar sake
dostoṅ se bhūl ho to māf kar sake
jhūṭh se bache raheṅ, sach kā dam bhare
dūsroṅ kī jay se pahle, khud ko jay kare

muśhkileṅ paṛe to ham pe itnā karm kar
sāth de to dharm kā, chale to dharm kar
khud pe hauslā rahe, badī se nā ḍare
dūsroṅ kī jay se pahle, khud ko jay kare