Ham hain tere deevaane gar too buraa na maane

हम हैं तेरे दीवाने गर तू बुरा न माने
Work
Year
Language

हम हैं तेरे दीवाने गर तू बुरा न माने
किस्से हैं ये पुराने गर तू बुरा न माने

ये गोरा गोरा मुखड़ा ये चाँद सी जवानी
धरती पे जैसे आयी इक आसमाँ की रानी
अरे हमको चला बनाने, गर तू बुरा न माने
हम हैं तेरे दीवाने …

पहली नज़र में तुम ने अपना बना लिया है
अब अपने नज़र से पूछो मेरा क़ुसूर क्‌या है
अरे ये हैं तेरे बहाने, गर तू बुरा न माने
हम हैं तेरे दीवाने …

सपने सजा स्जा कर इक महल मैं बनाऊँ
रानी तुम्हें बना कर उस में तुम्हें बिठाऊँ
ये तो हैं जेलखाने, गर तू बुरा न माने
हम हैं तेरे दीवाने …

ham haiṅ tere dīvāne gar tū burā na māne
kisse haiṅ ye purāne gar tū burā na māne

ye gorā gorā mukhaṛā ye chāṇd sī javānī
dhartī pe jaise āyī ik āsmāṇ kī rānī
are hamko chalā banāne, gar tū burā na māne
ham haiṅ tere dīvāne …

pahlī nazar meṅ tum ne apnā banā liyā hai
ab apne nazar se pūchho merā qusūr k‌yā hai
are ye haiṅ tere bahāne, gar tū burā na māne
ham haiṅ tere dīvāne …

sapne sajā sjā kar ik mahal maiṅ banāūṇ
rānī tumheṅ banā kar us meṅ tumheṅ biṭhāūṇ
ye to haiṅ jelkhāne, gar tū burā na māne
ham haiṅ tere dīvāne …