Ham aapke hain hamse to pardaa na keejie

हम आपके हैं हमसे तो परदा न कीजिए
Year
Language

र: हम आपके हैं हमसे तो परदा न कीजिए
आ: हम रूठ जाएँगे हमें छेड़ा न कीजिए

र: इक बात मेरी गौर से सुन लीजिए हुज़ूर
आ: फ़रमाइए फ़रमाइए सुन लेंगे हम ज़रूर
र: तिरछी निगाह से हमें देखा न कीजिए
हम आपके हैं …

क्‌या झूठ-मूठ बातें बनाने से फ़ायदा
आ: बैठे बिठाए हमको सताने से फ़ायदा
र: यूँ बात-बात पर अजी रूठा न कीजिए
हम आपके हैं …

आ: डर है कि ज़माना कहीं मजबूर न कर दे
इस प्यार की दुनिया से कहीं दूर न कर दे
र: इन छोटी-छोटी बातों को सोचा न कीजिए
हम आपके हैं …

ra: ham āpke haiṅ hamse to pardā na kījie
ā: ham rūṭh jāeṇge hameṅ chheṛā na kījie

ra: ik bāt merī gaur se sun lījie huzūr
ā: farmāie farmāie sun leṅge ham zarūr
ra: tirchhī nigāh se hameṅ dekhā na kījie
ham āpke haiṅ …

k‌yā jhūṭh-mūṭh bāteṅ banāne se fāydā
ā: baiṭhe biṭhāe hamko satāne se fāydā
ra: yūṇ bāt-bāt par ajī rūṭhā na kījie
ham āpke haiṅ …

ā: ḍar hai ki zamānā kahīṅ majbūr na kar de
is pyār kī duniyā se kahīṅ dūr na kar de
ra: in chhoṭī-chhoṭī bātoṅ ko sochā na kījie
ham āpke haiṅ …