Hairaan dekh kar khudaa ke shabaab ho

हैरान देख कर ख़ुदा के शबाब हो
Year
Language

हैरान देख कर हैरान देख कर हो ख़ुदा के शबाब हो
दुनिया में हाय दुनिया में पहली बार खिला वो गुलाब हो
हैरान देख कर …

सावन की घटा चीर के निकली वो धूप हो
शायर न लिख सके वो गज़ल ऐसा रूप हो तुम ऐसा रूप हो
जल जाएंगे फ़रिश्ते वो इंतखाब हो
दुनिया में …

अब तक ना किसी को मिला तुम वो खिताब हो
किस्मत में लिखा जो मेरी वो माहताब हो वो माहताब हो
जिसका नहीं जवाब कोई वो जवाब हो
दुनिया में …

hairān dekh kar hairān dekh kar ho khudā ke śhabāb ho
duniyā meṅ hāy duniyā meṅ pahlī bār khilā vo gulāb ho
hairān dekh kar …

sāvan kī ghaṭā chīr ke niklī vo dhūp ho
śhāyar na likh sake vo gazal aisā rūp ho tum aisā rūp ho
jal jāeṅge fariśhte vo iṅtkhāb ho
duniyā meṅ …

ab tak nā kisī ko milā tum vo khitāb ho
kismat meṅ likhā jo merī vo māhtāb ho vo māhtāb ho
jiskā nahīṅ javāb koī vo javāb ho
duniyā meṅ …