Hain sabse madhur vo geet jinhen, ham dard ke sur men gaate hain

हैं सबसे मधुर वो गीत जिन्हें, हम दर्द के सुर में गाते हैं
Work
Year
Language

हैं सबसे मधुर वो गीत जिन्हें, हम दर्द के सुर में गाते हैं
जब हद से गुज़र जाती है खुशी, आँसू भी छलकते आते हैं

काँटों में खिले हैं फूल हमारे, रंग भरे अरमानों के
नादान हैं जो इन काँटों से दामन को बचाए जाते हैं

जब ग़म का अन्धेरा घिर आए, समझो के सवेरा दूर नहीं
हर रात का है पैगाम यही, तारे भी यही दोहराते हैं

पहलू में पराये दर्द बसाके तू हँसना हँसाना सीख ज़रा
तूफ़ान से कह दे घिर के उठे, हम प्यार के दीप जलाते हैं

haiṅ sabse madhur vo gīt jinheṅ, ham dard ke sur meṅ gāte haiṅ
jab had se guzar jātī hai khuśhī, āṇsū bhī chhalakte āte haiṅ

kāṇṭoṅ meṅ khile haiṅ phūl hamāre, raṅg bhare armānoṅ ke
nādān haiṅ jo in kāṇṭoṅ se dāman ko bachāe jāte haiṅ

jab ġham kā andherā ghir āe, samjho ke saverā dūr nahīṅ
har rāt kā hai paigām yahī, tāre bhī yahī dohrāte haiṅ

pahlū meṅ parāye dard basāke tū hṇsnā hṇsānā sīkh zarā
tūfān se kah de ghir ke uṭhe, ham pyār ke dīp jalāte haiṅ