Hai bas kee har ek un ke ishaare men nishaan aur

है बस की हर एक उन के इशारे में निशान और्
Year
Language

है बस की हर एक उन के इशारे में निशान और
करते हैं मुहब्बत तो गुज़रता है गुमान और

या रब वो न समझे हैं न समझेंगे मेरी बात
दे और भी दिल इनको जो न दे मुझको ज़ुबाँ और

तुम शहर में हो तो हमें क्‌या ग़म जब उठेंगे
ले आएंगे बाज़ार से जाकर दिल-ओ-जान और

है और भी दुनिया में सुखनवार बहुत अच्छे
कहते हैं की ग़ालीब का है अंदाज़-ए-बयाँ और्

hai bas kī har ek un ke iśhāre meṅ niśhān aur
karte haiṅ muhabbat to guzartā hai gumān aur

yā rab vo na samjhe haiṅ na samjheṅge merī bāt
de aur bhī dil inko jo na de mujhko zubāṇ aur

tum śhahar meṅ ho to hameṅ k‌yā ġham jab uṭheṅge
le āeṅge bāzār se jākar dil-o-jān aur

hai aur bhī duniyā meṅ sukhanvār bahut achchhe
kahte haiṅ kī ġhālīb kā hai aṅdāz-e-bayāṇ aur