Haa mujhse poochhe binaa dil men ... ye to kaho kaun ho tum

हा मुझसे पूछे बिना दिल में ... ये तो कहो कौन हो तुम्
Work
Year
Language

हा
मुझसे पूछे बिना दिल में आने लगे
ये तो कहो ( कौन हो तुम ) -2
मीठी नज़रों से बिजली गिराने लगे
ये तो कहो ( कौन हो तुम ) -2

रात भी निराली ये रुत भी निराली रंग बरसाए उमंग मतवाली -2
प्यार भरी नज़रों ने जाल हैं बिछाए
कैसे कोई दिल की करेगा रखवाली -2
ये तो कहो …

मस्तियों के मेले ये खोई-खोई रातें
आँख करे आँखों से रस भरी बातें
भोले-भाले हैं वो मगर देखने में
मुझसे क्‌या छुपेंगी ये लूटने की घातें -2
ये तो कहो …

तुम्हीं तो नहीं हो जो सपनों में आके
छुप गए अपनी झलक दिखला के
तुम्हीं तो नहीं हो मैं ढूँढा किया जिनको
फिर भी तुम न आए मैं थक गया बुला के -2
ये तो कहो …


mujhse pūchhe binā dil meṅ āne lage
ye to kaho ( kaun ho tum ) -2
mīṭhī nazroṅ se bijlī girāne lage
ye to kaho ( kaun ho tum ) -2

rāt bhī nirālī ye rut bhī nirālī raṅg barsāe umaṅg matvālī -2
pyār bharī nazroṅ ne jāl haiṅ bichhāe
kaise koī dil kī karegā rakhvālī -2
ye to kaho …

mastiyoṅ ke mele ye khoī-khoī rāteṅ
āṇkh kare āṇkhoṅ se ras bharī bāteṅ
bhole-bhāle haiṅ vo magar dekhne meṅ
mujhse k‌yā chhupeṅgī ye lūṭne kī ghāteṅ -2
ye to kaho …

tumhīṅ to nahīṅ ho jo sapnoṅ meṅ āke
chhup gae apnī jhalak dikhlā ke
tumhīṅ to nahīṅ ho maiṅ ḍhūṇḍhā kiyā jinko
phir bhī tum na āe maiṅ thak gayā bulā ke -2
ye to kaho …