Guzraa huaa zamaanaa, aataa naheen dubaaraa, haafiz khudaa tumhaaraa

गुज़रा हुआ ज़माना, आता नहीं दुबारा, हाफ़िज़ खुदा तुम्हारा
Year
Language

गुज़रा हुआ ज़माना, आता नहीं दुबारा
हाफ़िज़ खुदा तुम्हारा

1) खुशियाँ थीं चार पल की आँसू हैं उम्र भर के
तन्हाइयों में अक़्सर रोएंगे याद कर के
दो वक़्त जो कि हमने इक साथ है गुज़ारा
हाफ़िज़ …

2) मेरी क़सम है मुझको तुम बेवफ़ा न कहना
मजबूर थी मुहब्बत सब कुछ पड़ा है सहना
तूफ़ाँ है ज़िन्दगी का अब आखिरी सहारा
हाफ़िज़ …

3) मेरे लिये सहर भी आई है रात बन कर
निकला मेरा जनाज़ा मेरी बरात बन कर
अच्छा हुआ जो तुमने देखा न ये नज़ारा
हाफ़िज़ …

guzrā huā zamānā, ātā nahīṅ dubārā
hāfiz khudā tumhārā

1) khuśhiyāṇ thīṅ chār pal kī āṇsū haiṅ umr bhar ke
tanhāiyoṅ meṅ aqsar roeṅge yād kar ke
do vaqt jo ki hamne ik sāth hai guzārā
hāfiz …

2) merī qasam hai mujhko tum bevafā na kahnā
majbūr thī muhabbat sab kuchh paṛā hai sahnā
tūfāṇ hai zindgī kā ab ākhirī sahārā
hāfiz …

3) mere liye sahar bhī āī hai rāt ban kar
niklā merā janāzā merī barāt ban kar
achchhā huā jo tumne dekhā na ye nazārā
hāfiz …