घोड़ी पे हो के सवार चला है दूल्हा यार्
घोड़ी पे हो के सवार चला है दूल्हा यार
कमरिया में बाँधे तलवार
अकड़ता है छैला मिली है ऐसी लैला
के जोड़ी है नहले पे दहला -2
घोड़ी पे हो के …
कल तक बेचारा हम सा कँवारा फिरता था गली-गली मारा-मारा
देखी एक छोकरी फूलों की टोकरी बोला दिल थाम के मैं हारा-हारा
यार को मुबारक हो मुहब्बत की बाज़ी -2
मियाँ बीवी राज़ी तो क्या करेगा काज़ी -2
सदा फूले-फले दोनों का प्यार
घोड़ी पे हो के …
दुल्हन की धुन है कैसा मगन है होगा मिलन देखो अभी-अभी
शादी की मस्ती लगती है सस्ती पड़ती है महँगी भी कभी-कभी
को: हाँ-हाँ पड़ती है महँगी भी कभी-कभी
ये बात मत भूलना प्यार की बहारें -2
नन्हें-मुन्नों की लगा देंगी क़तारें
तब उतरेगा जा के ख़ुमार
घोड़ी पे हो के …
ghoṛī pe ho ke savār chalā hai dūlhā yār
kamriyā meṅ bāṇdhe talvār
akaṛtā hai chhailā milī hai aisī lailā
ke joṛī hai nahle pe dahlā -2
ghoṛī pe ho ke …
kal tak bechārā ham sā kṇvārā phirtā thā galī-galī mārā-mārā
dekhī ek chhokrī phūloṅ kī ṭokrī bolā dil thām ke maiṅ hārā-hārā
yār ko mubārak ho muhabbat kī bāzī -2
miyāṇ bīvī rāzī to kyā karegā kāzī -2
sadā phūle-phale donoṅ kā pyār
ghoṛī pe ho ke …
dulhan kī dhun hai kaisā magan hai hogā milan dekho abhī-abhī
śhādī kī mastī lagtī hai sastī paṛtī hai mahṇgī bhī kabhī-kabhī
ko: hāṇ-hāṇ paṛtī hai mahṇgī bhī kabhī-kabhī
ye bāt mat bhūlnā pyār kī bahāreṅ -2
nanheṅ-munnoṅ kī lagā deṅgī qatāreṅ
tab utregā jā ke khumār
ghoṛī pe ho ke …