घूँघट नहीं खोलूँगी सैंया तोरे आगे
घूँघट नहीं खोलूँगी सैंया तोरे आगे
उमर मोरी बाली शरम मोहे लागे
घूँघट नहीं …
मुख पे घूँघट नैनों में रसिया
मन ही मन मुस्काऊँ -2
दिल की बतियाँ तू ही समझ ले
मैं कैसे बतलाऊँ -2
जियरा मोरा लरजे बदन मोरा काँपे
घूँघट नहीं …
नाचे अंग-अंग मुरली की धुन पर
गाए मन मतवाला -2
दिल पर मोरे तूने बलमवा
कैसा जादू डाला -2
जिया को मोरे लूटा बाँसुरिया बजइके
घूँघट नहीं …
ghūṇghaṭ nahīṅ kholūṇgī saiṅyā tore āge
umar morī bālī śharam mohe lāge
ghūṇghaṭ nahīṅ …
mukh pe ghūṇghaṭ nainoṅ meṅ rasiyā
man hī man muskāūṇ -2
dil kī batiyāṇ tū hī samajh le
maiṅ kaise batlāūṇ -2
jiyrā morā larje badan morā kāṇpe
ghūṇghaṭ nahīṅ …
nāche aṅg-aṅg murlī kī dhun par
gāe man matvālā -2
dil par more tūne balamvā
kaisā jādū ḍālā -2
jiyā ko more lūṭā bāṇsuriyā bajaike
ghūṇghaṭ nahīṅ …