Ghir ghir aaye badarvaa kaare

घिर घिर आये बदरवा कारे
Work
Year
Language

घिर घिर आये बदरवा कारे

चारों ओर है खुशी का मेला
रहा ना जाये आज अकेला
बार बार मेरा मन सूना
किसको आज पुकारे
घिर घिर आये बदरवा कारे …

चली नशे में चूर हवाएं
मस्ती से भरपूर हवाएं
मचल मचल कर बिजली चमके
ज्यों नैना मतवारे
घिर घिर आये बदरवा कारे …

ghir ghir āye badarvā kāre

chāroṅ or hai khuśhī kā melā
rahā nā jāye āj akelā
bār bār merā man sūnā
kisko āj pukāre
ghir ghir āye badarvā kāre …

chalī naśhe meṅ chūr havāeṅ
mastī se bharpūr havāeṅ
machal machal kar bijlī chamke
jyoṅ nainā matvāre
ghir ghir āye badarvā kāre …