Geet gaataa hoon main gungunaataa hoon main

गीत गाता हूँ मैं गुनगुनाता हूँ मैं
Year
Language

गीत गाता हूँ मैं गुनगुनाता हूँ मैं
मैं ने हँसने का वादा किया था कभी
इसलिये अब सदा मुस्कुराता हूँ मैं

ये मुहब्बत के पल कितने अनमोल हैं
कितने फूलों से नाज़ुक मेरे बोल हैं
सब को फूलों की माला पहनाता हूँ मैं
मुस्कुराता हूँ मैं
गीत गाता हूँ मैं …

रोशनी होगी इतनी किसे थी खबर
मेरे मन का ये दर्पण गया है निखर
साफ़ है अब ये दर्पण दिखाता हूँ मैं
मुस्कुराता हूँ मैं
गीत गाता हूँ मैं …

gīt gātā hūṇ maiṅ gungunātā hūṇ maiṅ
maiṅ ne hṇsne kā vādā kiyā thā kabhī
isliye ab sadā muskurātā hūṇ maiṅ

ye muhabbat ke pal kitne anmol haiṅ
kitne phūloṅ se nāzuk mere bol haiṅ
sab ko phūloṅ kī mālā pahnātā hūṇ maiṅ
muskurātā hūṇ maiṅ
gīt gātā hūṇ maiṅ …

rośhnī hogī itnī kise thī khabar
mere man kā ye darpaṇ gayā hai nikhar
sāf hai ab ye darpaṇ dikhātā hūṇ maiṅ
muskurātā hūṇ maiṅ
gīt gātā hūṇ maiṅ …