Gareebon kee duniyaa jahaan se niraalee

गरीबों की दुनिया जहाँ से निराली
Year
Language

ग़रीबों की दुनिया जहाँ से निराली
न कोई शहंशाह न कोई सवाली

हैं ज़रदार दुनिया में ज़र के दीवाने
ग़रीबों के घर प्यार के हैं ख़ज़ाने
ग़रीबों की दुनिया का अल्लाह वाली

जो महलों में जलते हैं घी के चिराग़
तो कुटिया में जलते हैं सीने के दाग़
उधर ज़र की सुर्ख़ी इधर ख़ूँ की लाली

अमीरों के सीने से रहता है दूर
ग़रीबों के सीने में अल्लाह का नूर
ग़ुरूर-ओ-तकब्बुर से सीना है ख़ाली

ġharīboṅ kī duniyā jahāṇ se nirālī
na koī śhahaṅśhāh na koī savālī

haiṅ zardār duniyā meṅ zar ke dīvāne
ġharīboṅ ke ghar pyār ke haiṅ khazāne
ġharīboṅ kī duniyā kā allāh vālī

jo mahloṅ meṅ jalte haiṅ ghī ke chirāġh
to kuṭiyā meṅ jalte haiṅ sīne ke dāġh
udhar zar kī surkhī idhar khūṇ kī lālī

amīroṅ ke sīne se rahtā hai dūr
ġharīboṅ ke sīne meṅ allāh kā nūr
ġhurūr-o-takabbur se sīnā hai khālī