Gareebon kaa paseenaa bah rahaa hai

गरीबों का पसीना बह रहा है
Work
Year
Language

गरीबों का पसीना बह रहा है -2
ये पानी बहते-बहते कह रहा है -2
कभी वो दिन भी आएगा ये पानी रंग लाएगा -2
गरीबों का पसीना …

ये बूंदें देख लेना एक दिन तूफ़ान लाएँगी
ज़मीं तो है ज़मीं ये आसमाँ को भी हिलाएँगी
गरीबों के घरों तक चल के खुद भगवान आएगा
ये पानी रंग लाएगा …

सितम का हद से बढ़ जाना तबाही की निशानी है
बदलते हैं सभी के दिन पुरानी ये कहानी है
ज़माना एक दिन गिरते हुओं को उठाएगा
ये पानी रंग लाएगा …

अगर जल कर किसी मजबूर ने फ़रियाद कर डाली
तो क़ुदरत के ख़ज़ाने देखना हो जाएँगे खाली
ज़मीं फट जाएगी सूरज का गोला टूट जाएगा
कभी वो दिन भी आएगा …

garīboṅ kā pasīnā bah rahā hai -2
ye pānī bahte-bahte kah rahā hai -2
kabhī vo din bhī āegā ye pānī raṅg lāegā -2
garīboṅ kā pasīnā …

ye būṅdeṅ dekh lenā ek din tūfān lāeṇgī
zamīṅ to hai zamīṅ ye āsmāṇ ko bhī hilāeṇgī
garīboṅ ke gharoṅ tak chal ke khud bhagvān āegā
ye pānī raṅg lāegā …

sitam kā had se baṛh jānā tabāhī kī niśhānī hai
badalte haiṅ sabhī ke din purānī ye kahānī hai
zamānā ek din girte huoṅ ko uṭhāegā
ye pānī raṅg lāegā …

agar jal kar kisī majbūr ne fariyād kar ḍālī
to qudarat ke khazāne dekhnā ho jāeṇge khālī
zamīṅ phaṭ jāegī sūraj kā golā ṭūṭ jāegā
kabhī vo din bhī āegā …